Saturday, 5 March 2011
Ajab pagal si larki hai,
Mujhe har khat mein likhti hai,
Mujhe tum yad karte ho?
Tumhe main yad aati hoon?
Meri batein satati hain,
Meri neende jagati hain,
Meri aankhe rulati hain,
December ki sunehri dhoop mein ab bhi tehalte ho?
Kisi khamosh raste se,
Koi awaz aati hai?
Thitharti sard raton mein,
Tum ab bhi chhat pe jate ho?
Falak ke sab sitaro ko,
Meri baatein sunate ho?
Kitabon se tumhare ishq mein koi kami aai?
Ya meri yaad ke shiddat se aankho mein nami aai?
Ajab pagal si larki hai,
Mujhe har khat mein likhti hai,
Jawaban us ko likhta hoon,
Meri masrufiat dekho,
Subah se sham office mein,
Chirag-e-Umar jalta hai,
Fir us ke baad dunia ki,
Kai majburian paon mein,
Beri dal rakhti hai,
Mujhe be-fikr chahat se,
Bhare sapne nahi dikhte,
Tahalne, Jagne, Rone ki,
Mohlat hi nahi milti,
Sitaron se mile arsa hua,
Naraz hon shayad,
Kitabon se shugaf mera,
Abhi vaise hi kayam hai,
Farq itna para hai bas,
Unhe arse mein parhta hoon,
Tumhe kisne kaha pagli,
Tumhe main yad karta hoon,
Ke main khud ko bhulane ki,
Musalsal justjoo mein hoon,
Magar yeh justjoo meri,
Bahut nakam rehti hai,
Mere din rat mein ab bhi,
Tumhari shaam rehti hai,
Mere lafzon ki har mala,
Tumhare naam rehti hai,
Tumhe kisne kaha pagli,
Tumhe main yaad karta hoon,
Purani baat hai jo log aksar gungunate hain,
Unhe ham yad karte hai jinhe hum bhool jate hain,
Ajab pagal si larki ho,
Meri masrufiat dekho,
Tumhe dil se bhulau,
To tumhari yaad aaye na,
Tumhe dil se bhulane ki,
Mujhe fursat nahi milti,
Aur iss masroof jeewan mein,
Tumhare khat ka ik jumla,
"Tumhe main yaad aati hoon?"
Meri chahat ki shiddat mein,
Kami hone nahi deta,
Bahut raaten jagaata hai,
Mujhe sone nahi deta,
So agli bar apne khat mein,
Yeh jumla nahi likhna,
Ajab pagal si larki hai,
Mujhe fir bhi ye likhti hai,
Mujhe tum yaad karte ho?
Tumhe main yaad aati hoon?
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment