Tuesday 21 June 2011

Khirki, Chand, Kitab Aur main
Muddat Se ik Baab Aur main

Shab Bhar Khailain Apus main
Do Ankhain ik Khawab Aur main

Mouj Aur Kashti, Sahil par
Dariya main Gardab Aur main

Shaam, Udaasi, Khamoshi
Kuch Kankar, Talaab aur main

Har Shab Pakray Jatay hain
Gahri Neend Khawab Aur main
....................................


No comments:

Post a Comment