Monday 1 August 2011

                                   

Agr ab esa hoa to yun ho jaye ga
Tum milne na aye to me tum se hmesha k liye naraz ho jaon gi
Tum ne meri bat na mani to acha na ho ga
Agr ab esa hoa to ye ho jaye ga
Agr tum itne bezaar ho to me yahan se chli jaty hun
Agr tum ne ghr se bhr qadam nikala to dobara palatne ki zehmat na karna
Agr tum ne mjhe fone na kia to dobara meri awaz na sun sako ge
Tum ne khat ka jawab na dia to me smjhun gi tumhe mujh se muhbbt nhe rahy
Agr tum ne apni zid na chory to hmesha k liye mjhe kho do gi

Ye zindgy me itne saray agr mgr warna wagarna kahan se ajatay hain. usay ajeeran or dushwar bnane k liye.
Itne qariby dily ta'alluqat is agr mgr Chu'n k chuna che k chakkrun me phool pattiyun ki trah bikhar kr reh jatay hain.
Muhbbtun ko mashroot hargiz nhe hona chayie.

No comments:

Post a Comment