Thursday 18 August 2011

Ajab masoom si ladki thi


Ajab din thy mohabbat k ,ajab din thy rafaqat k 
kabhi gar yaad aajaey tu palkon par sitarey jhil'milatey hian 

kisi yaad main ratoon ko jagna mamool tha upna
kabhi gar neend aajati tu hum yeh sochlytey thy
k abhi tu woh humare waste roya nahin hoga
soya nahin hoga

abhi hum bhi rote hain ,abhi hum bhi nahin sotey
so phir hum jagtey thy aur usey yaad kartey thy
akely baith kar veeran dill aabad kartey thy

humare saamne sitaron ki jhirmut main chand hota tha
jo us k husn k aagay bohat hi maand hota tha
falak par raqs kartey un'ginat sitaroon ko jo hum tarteeb detey thy tu us ka nam ban'ta tha

hum aglay rooz jub milltay tu guzre raat ki har 
be'kali ka zikar karte thy 
har ek qis'sa sunatey thy 
kahan kis waqt dil dharka bata'tey thy 

main jub kahta k janan aaj tu main raat ko ek pal nahy soya nahin,tu woh khamosh rahti thi
par us ki neend main doobi us ki bujhal si aankhain
aachanak bool uth'ti thiin

main jub us ko bata'ta tha mainey raat k roshan sitaron main tumhara naam dekha hai 
tu woh kahti,tum jhoot kahtey ho sitare maine dekhey thy aur un roshan sitaron main tuhara naam likha tha
Ajab masoom larki thi 

mujhy kahti thi lagta hai ,ub upne sitare mill hi jaen gay 
magar us ko khabar kia thi ,kiare mill nahin sakte 
Mohabbat ki kahani main mohabbat karney walon k sitarey mill nahin sakte 
kinare mill nahin sakte
Mohabbat ki kahani main mohabbat karne walon k sitarey mill nahin sakte

No comments:

Post a Comment